खूबसूरत है मसीह तू
किस कलम रंग से लिखूं
दिल तो डूबे फिर से डूबे तेरी मुहब्बत मे - २
तेरा चेहरा जो न देखूं , फिर भला कैसे जीयूं
कर सकजे बयां न फ़रिश्ते तेरी मुहब्बत को - २
मैं तो माटी हूँ दो पल की, मैं करूँ तो कैसे करूँ
कितने खुदगर्ज़ यहाँ लोग, नज़र में प्यार नही
मर हे जाऊँ जो मैं तेरी एक नज़र से दूर रहूं
Khoobsurat hai Masih tu
kis kalam rang se likhoon
Dil to doobe phir se doobe teri mohabbat mein
tera chehra jo na dekhun, phir bhala kaise jiyoon
Kar sake bayaan na farishte teri mohabbat ko
main to maati hoon do pal ki, main karoon to kaise karoon
Kitne khudgarz yahan log, nazar mein pyaar nahin
mar hi jaaun jo main teri ek nazar se door rahoon
Click a stanza to preview here.