खुल जायेंगी किताबें,
जब भी हिसाब होगा,
इंसाफ का तराजू,
येशु के हाथ होगा॥
जो भी तू कर रहा है,
येशु वो देखता है,
हर पल जो तुझको मिलता,
देना हिसाब होगा,
इंसाफ का तराजू,
येशु के हाथ होगा...
आजा अभी भी मुड़कर,
येशु बुला रहा है,
वर्ना ये याद कर ले,
तेरा ही नाश होगा,
इंसाफ का तराजू,
येशु के हाथ होगा....
कदमों में उसके रो ले,
तौबा गुनाह से कर ले,
प्यार मसीह ने दिया,
माफी तू आज ले ले,
इंसाफ का तराजू,
येशु के हाथ होगा.....
Khul jaayengi kitaben,
Jab bhi hisaab hoga.
Insaaf ka tarazu,
Yeshu ke haath hoga.
Jo bhi tu kar raha hai,
Yeshu wo dekhta hai.
Har pal jo tujhko milta,
Dena hisaab hoga.
Insaaf ka tarazu,
Yeshu ke haath hoga.
Aaja abhi bhi mudkar,
Yeshu bula raha hai.
Varna ye yaad kar le,
Tera hi naash hoga.
Insaaf ka tarazu,
Yeshu ke haath hoga.
Kadmon mein uske ro le,
Tauba gunah se kar le.
Pyaar Masih ne diya,
Maafi tu aaj le le.
Insaaf ka tarazu,
Yeshu ke haath hoga.