पावन प्रभु तुम, शरण तुम्हारे
येशु प्रभु हम आये हैं . 2.
तुम बिन डूबे सब नर नारी
येशु तेरे चरण आये हैं
ना हमें चेन यहा, कोई नहीं कहे अपना
येशु नाम नाम भाये . 2.
हर पल दुख है यहा, पाप अँधेरा जहा
येशु येशु दिल पुकारे . 2.
तुम चरवाहे मेरे, भेड़ें हम हैं तेरी
भूख और प्यास नहीं लागे . 2.
तुम ही द्वार अंधेरे में, ज्योत बने
ले चलो घर पिता के . 2.
तुम ही मार्ग, सत्य और जीवन हो प्रभु
मृत्युंजय तुम्ही हमारे . 2.
मरके मरण विजय पाने वाले तुम्हीं
जीवनदाता येशु प्यारे . 2.
Paavan Prabhu tum, sharan tumhaare
Yeshu Prabhu hum aaye hain . 2
Tum bin doobe sab nar naari
Yeshu tere charan aaye hain
Na humein chain yahan, koi nahin kahe apna
Yeshu naam naam bhaaye . 2
Har pal dukh hai yahan, paap andhera jahan
Yeshu Yeshu dil pukaare . 2
Tum charvaahé mere, bhedein hum hain teri
Bhookh aur pyaas nahin laage . 2
Tum hi dwaar andhere mein, jyot bane
Le chalo ghar Pita ke . 2
Tum hi maarg, satya aur jeevan ho Prabhu
Mrityunjay tumhi hamaare . 2
Marke maran vijay paane waale tumhi
Jeevandata Yeshu pyaare . 2
Click a stanza to preview here.